THOUSANDS OF FREE BLOGGER TEMPLATES »
 

Friday, February 1, 2008

Mujhe Mout Ke Pahlu Me So Jane Do…

Mat roko rone do mujhe,
Aansuon ko pee jane do…..

Woh chali gayi apni yaaden dekar,
Uski yaadon mein he kho jane do…..

Har pal roti hai aankhe meri,
Ke ashkon ko bhi jum jane do…..

Ab to din ke ujale se bhi dar lagta hai,
Mujhe raat ke andhere me hi rahne do…..

Kaise bayaan karoon dil ka dard lafzon me,
Ankho ko he sab keh jane do…..

Ab saha nahi jata usse judaai ka dard,
Ke zahar ko hi mukti samajh kar apnane do…..

Ab koi tamanna nahi meri jeene ki,
Mujhe mout ke pehlu me so jane do…


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

E khuda kyun ye kaale baadal itne kareeb hai,
Rang khushiyon ke tu aaj inme de bhar.

Lakhon rangon ka maalik hai tu fir bhi,
Mujhse le ye laal rang pade kam agar.

Saare jahan ko roshan karta hai na tu,
Jara dekh diye ke saaye me hai mere yaar ka ghar.

E hawao tum khushbu ban kar jaana,
Aur thaam lena haath gar jaaye voh dar.

Aur kehna abhi asar humari duwao me baki hai,
Abhi baki hai khushiyon bhara zindgi ka safar.

E shaam, tu usey apne aanchal me sukoon dena,
Aur tu pyar se usey jagana E rehnuma sehar.

Khamosh hai samundar zindgi ka abhi,
Aati he hongi khushiyan ban kar ek lehar.

Sitaron tum bhi khayal rakhna mere yaar ka,
Pass rehna ban ke saathi uske tum aantho pehar.

Parindon jao aur mere yaar ka dil behlana,
Hawaon ek pal ko bhi tum na jaana tehar.

E khuda, mita de ye nazare gam ke,
Le kar saanse meri, kar de mere yaar ko amar.

Tera yakin tab bhi kiya tha aur aaj bhi hai,
Sir jhukaye he rahunga sajde me saari umar.

Fir lauta de voh mausam bahaar ka E khuda,
Bas aaj, aaj ye aakhiri dua tu kabool kar…

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

bachpan ki mohabbat ko aaj bhulane chala hun
jo khwab sajaye the unko khak me milane chala hun

apne daman me to toote tare the
pawon ke niche kuchle hue kuch nazare the
bas ab un sab ko dafnane chala hun
bachpan ki mohabbat ko aaj bhulane chala hun

dil me panap rahe the besumar armaan
abhi tak to the apne jajbat bejuban
bas ab un sab ko mitane chala hun
bachpan ki mohabbat ko aaj bhulane chala hun

unki yaadon ko dil me sajkar rakha tha
unka dia hua wo sukha phool jo kitab me rakha tha
bas ab un sab ko jalane chala hun
bachpan ki mohabbat ko aaj bhulane chala hun

unki murat ko jo ab tak dil me basa rakha tha
unko hi bas hmsafar banane ka sapna saja rakha tha
aaj un sab ke tukde tukde karne chala hun
bachpan ki mohabat ko aaj bhulane chala hun

unka naam lekar jo kat gaye itne baras
aahen bhi siskiyan leti rahi
aaj un sabse bewafai karne chala hun
bachpan ki mohabbat ko aaj bhulane chala hun

sach kahun to hume bhi naya yaar chahiye
jo sikha de jeena aisa dildar chahiye
bas yun hi sochkar tamasha karne chala hun
bachpan ki mohabbat ko aaj bhulane chala hun

0 comments: