THOUSANDS OF FREE BLOGGER TEMPLATES »
 

Friday, February 1, 2008

Lagta Hai Khuda Ne Umar Bhar Rona Hi Likha Hai

khuda ne meri zindagi main kya kya likha hai
bas lagta hai ki rona hi likha hai

zindagi me har pal milta raha hai koi gam
par ab to gam hi zindagi ban chuki hai
kya us malik ne khusi ka bhi koi pal likha hai
bas lagta hai umar bhar rona hi likha hai

dino ka sukun cheenkar diya hai raaton ka sunapan
jab bhi khawhish ki mahfil ki mila tanhaion ka darpan
kya us rab ne sapno ko bhi likha hain kahin
bas lagta hai umar bhar rona hi likha hai

aankhon main aaye aansun to dard ka bayan kar dete hai
par ye ruki hui sansen to maut ka ehsah krati hai
kya usne kahin aansun poochne wala bhi likha hai kahin
bas lagta hai umar bhar rona hi likha hai

pahle to musibaton se darkar kinare par khade rah jaate the
ab to dusron ka gam uthakar beech dariya chale jaate hain
kya hmari zindagi main bas dubte rahna hi likha hai
bas lagta hai umar bhar rona hi likha hai

galtiyan to bahut ki zindagi main par rona kabhi na aaya
par aaj to aisi khata hui hai jisme maut bhi kam lgti hai
kya puri zindagi galtiyan karte rahna likha hai
bas lagta hai umar bhar rona hi likha hai

kyun aaya wo pal jisne do doston ko juda kar diya
kabhi socha bhi na tha aaj us rah par khada kar diya
kya zindagi main bas akele rahna likha hai
bas lagta hai umar bhar rona hi likha hai

aisa toofan tha wo jisne sach bolne par majboor kar diya
humne to sach hi kaha tha par usne dokhebaaj ka naam de diya
kya us khuda ne jooth ko bhi kahin likha hai
bas lagta hai umar bhar rona hi likha hai

suna tha ki kuch paane ki khatir kuch khona padta hai
ye na pata tha ek yaar banane ki khatir ek dost ko khona padta hai
kya zindagi bhar bas khote rahna hi likha hai
bas lagta hai umar bhar rona hi likha hai

ab aisi zindagi jeene se to marna bhala
kam se kam maut ki khabar sun kar to unko sukun mile bhala
achha lagta hai jankar kam se kam marna to likha hai
bas lagta hai umar bhar rona hi likha hai

khuda ne meri zindagi main kya kya likha hai
bas lagta hai umar bhar rona hi likha hai

0 comments: