THOUSANDS OF FREE BLOGGER TEMPLATES »
 

Monday, January 7, 2008

Best Feelings

Best Feelings

Best feelings 5/17/2006 12:25 PM

Youn teri tammana mere dil ko dukhaati rahi
jab bhi muskuraana chahaa aankh bhar aati rahi

umeedon ne banaa-banna ke tode mere khwaab
baharon mein dil ki kali khil ke murjhaati rahi....

thar-rati rahi ye sard palken garm ashqon se....
aag paani se mil ke dhuven khoob udaati rahi

na milaa koi saharaa hi na thaama kisi ne haath
zindagi kadam-kadam pe thokaren khaati rahi...

ab kuch nahin hai baaki unki chaahat ke sivaa
aise gaye hain voh ke dil ki har khushi jaati rahi

honth to dekhe mere tune muskuraate ae sanam
zara dekh leta aankh bhi jo ashq bahaati rahi

vo khaa kar gaya tha kasmein ise bhuul jaane ki.n
"Vikash" ko phir bhi uski yaad kyon aati rahi...?

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Zindagi jaise ek sazaa si ho gayi hai,
Gham ke sagar mein kuch is kadar kho gayi hai,
Tum aajao waapis yeh guzaarish hai meri,
Shayad mujhe tumhaari aadat si ho gayi है

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Chehre pe ashko ki lakeer si ban gayee...
Jo na chaha wo takdir si ban gayee....
Humne to yun hi chalayee thi ret pe ungli..
Na jane kaise unki tasvir si ban gayee....

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Mohabbat ka imtehan aasan nahi hota,
pyar sirf pane ka naam nahi hota,
mudatain beet jati hain kisi k intezar main,
yeh sirf pal-do-pal ka kaam nahi hota

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

DIL SE ROYE MAGAR HOTHON SE MUSKURA BAITHE

DIL SE ROYE MAGAR HOTHON SE MUSKURA BAITHE,
YUHI HUM KISI SE WAFA NIBHA BAITHE,
WO HAME EK LAMHA NA DE PAYE,
JINKE LIYE HUM HAMARI ZINDAGI GAWA BAITHE


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

उल्जन को सुल्जाये कैसे...

उल्जन को सुल्जाये कैसे...

यह कैसी उल्जान हे डिल मैं…
इन उल्जनो को सुल्जाये तो सुल्जाये कैसे….
तुम बिन जीना होगा
डिल को बताये तो बताये कैसे….
तेरी यादों को डिल से
निकले तो निकले कैसे…..
हम तुम बिन अधूरे हैं
रहे तो कैसे रहे यूं अधूरे…..
तेरे होने के उस एहसास को…..
तेरे साँसों कि खुशबू को…..
तेरी उन बातों को, तेरे उन वादों को…..
तेरे साथ गज़रे उन लम्हों को….
तेरा उन प्यार भरी निगाहों को…
तेरी उन अदाओं को,
तेरे उन ख्यालों को….
भूले तो भूले कैसे…..
तेरे बिन ज़िंदगी, ज़िंदगी ही नही,
इसे जीए तो जीए कैसे…..
अधूरी सी है साँसें बिन तेरे ,
अधूरी साँसों को रोल तो रोके कैसे….
डिल को धड़क ने से रोके तो रोके कैसे…
बेचन डिल को
बहलाए तो बहलाए कैसे….
जीए तो कैसे जीए बिन तेरे..
इन उल्जनो को सुल्जाये तो सुल्जाये कैसे……

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

आपकी उलझन तोह बहुत ही खूबसूरत लगती है, सुल्जी
हुई जिन्दाही से उलझी हुई ज़िंदगी प्यारी लगती है।

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

नाराज़ हूँ

न अपनी तकदीर से नाराज़ हूँ,
न उस खुदा से नाराज़ हूँ,
खीच दी जिनसे खुद मेने अपने हथोंकी लकीरें
आज उस कलम कि सियाही से नाराज़ हूँ

न उसकी बेवफाई से नाराज़ हूँ
न उसके दिए हुए दर्द से नाराज़ हूँ
जो दर्द खुद मैंने अपने दामन से लगा लिए
आज वो दामन के दागदार होने से नाराज़ हूँ

चल तो दिया तू एक ही पल मी मुझसे कह कर अलविदा
न सोचा मेरी ज़िंदगी का अंजाम क्या होगा तेरे बिना
न तेरे जाने से न अपने अंजाम से नाराज़ हूँ
बस अपनी शिक़ायत न करने कि फितरत से नाराज़ हूँ

मोहब्बत मेरी कभी होगी नही पूरी ये पता था
ख्वाब देखे थे उसे पाने कि उसके किसी ग़ैर के होजाने के बाद भी
न उसके अधूरेपन से न उन हसीं ख्वाबों से नाराज़ हूँ
बस जो डिल ने किया साँसों से समझौता उसी समझौते से नाराज़ हूँ

मेरे काफिले को मंजिल न मिलना मुक़र्रर था
तेरा मुझसे बेरुखी करना था बरक़रार
न तेरी मंजिलों से न ही बेरुखियों से नाराज़ हूँ
जो बनायीं रास्तोंके खोने के बावजूद उस मंजिल से नाराज़ हूँ

यादें तेरी हर लम्हा अश्कों का तूफ़ान लिए आती है
तेरी आहात कि चाह से ही रूह मेरी तड़प सी जाती है
न उन यादों से न उन लम्हों से न उन अश्कों से नाराज़ हूँ
जिन्होंने समायी तेरी हर धड़कन उनमे उन धडकनों से नाराज़ हूँ

खुदा ने दिया हर मोड़ पर मुझे तेरी बेवफाई का इल्म
बसाए बैठे थे फिर भी ख्वाबोंका हसीं ताजमहल
न उस खुदा से न तेरी बेवफाई से न ही उन ख्वाबोंसे नाराज़ हूँ
अपना समझा था तुझे और सिर्फ तुझे ही जहाँ मी,
और तुने ही जार जार किया मेरी रूह को
इसलिए मैं आज खुद अपने आपसे ही नाराज़ हूँ...

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

गर बिकते घाम और ख़ुशी बाज़ार में, तोह कीमत न होती ख़ुशी कि इस संसार में,
गर हो जाता प्यार का इकरार पेल भर
में, तोह सचे दोतों उन्ही रहते राहों मैं,
गर न मिलता दर्द इनकार का, कहा मिलता सच्चा दोस्तिस जहाँ में....

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Meri sanso se तू................................

Meri sanso se tum shikva .................

Meri sanso se tum shikva karte ho,
chup chup k chahtat ka souda karte ho,
Tum bhe socho kise mazburi hai,
mujh mai rahkar kujh se he parda karte हो

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Mat dekh k koi shakhs gunehgaar kitna hai....
ye dekh k teray saath wafadaar kitna hai......
ye mat soch k usse kuch logoon say nafrat b hai....
ye dekh k usko tujh say pyaar kitna hai.......

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

***** AADAT *****

Main hi thaam sakun "HAATH" unka......
Mujh pe itni "IBAADAT" si karde........
Woh reh na paye 1 pal bhi mere bina.......
Ae "KHUDA" tu unko meri aadat si kar de.......



»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

ISHQ ME LAKHON NE JAN DI,
MAUT KE DWARA LOGON KO APNI PEHCHAN DI,
YHI KARAAN THA KI HUM ISHQ NAHI KARTE THE
WOH JAAN NA DE BAITHE ISI BAAT SE DARTE THE..


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Aasuo ko bahot samjaya tanhai me aaya karo....
Mehfil me hamara mazak na udaya karo............
To aasu bole:
Mehfil me aapko taha pate the...
Isiliye to sath dene chale aate the...!!!

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

yaar k farishte............

Kuch bekhabar baaton se hairaan ho rahe hain....
Dhadak raha hai dil zoron se hum pareshaa ho rahe hain....
Yoon to dhadakna dil ka harpal hota hai....
Magar aaj shayad pyar k farishte hum par meharbaan ho rahe hain.......


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Jiskepas kuch nahi uspe duniya hasti hai,
jiske paas sabkuch hai usse duniya jalti hai..
mere paass tho sirf aapki dosti hai,
jise paane ke liye duniya tarasti hai

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Chand lamhe

Chand लम्हे...................

Chand lamhe, mulaqaat ke,
kyun waqt wo ruka nahi.
Do pal hi kyun, saath the,
ki dil abhi bharaa nahi.
Alfaaz bohat, the magar,
ek lafz bhi kahaa nahi..
Jo roobaroo tum saamne,
kuchh aur yaad rahaa nahi...

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Abhi Woh दर्द............................

Abhi Woh Dard

Abhi Woh Dard BaQi Hai
Agarche Waqt Marham Hai
Magar Kuch Waqt Lagta Hai
Kisi Ko BhOol JaNey Mein
Dobara Dil BasaNey Mein
Abhi Kuch Waqt LagNa Hai
Abhi Woh Dard BaQi Hai
Mein KaisaY NaYe Ulfat Mein
Apni Zaat Ko Gum Kar Doon??
Ke Mere Jism-o-WajdaaN Mein
Abhi Woh FaRd BaQi Hai
Abhi Us Shakhs Ki Mujh Per
NiGah-e-SarD BaQi Hai
Abhi To IshQ Ke RastoN Ki
Mujh Per Gard BaQi Hai
Abhi Woh Dard BaQi Hai।

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»



Dosti

Dosti

दोस्ती को मात मत कर दोस्ती के नाम पर,
इस तरह की बात मत कर दोस्ती के नाम पर

गर भरोसा उठ आया है हाथ मेरा छोड़ दे
तल्ख़ यूँ जज्बात मत कर दोस्ती के नाम पर

मुझ पे पहले ही ज़माने भर के हैं एहसान बहुत
और एह्सानात मत कर दोस्ती के नाम पर

दोस्ती से ही यकीं अपना न उठ जाये कहीं
पैदा वह हालत मत कर दोस्ती के नाम पर

मुझसे कोई बात कर खोटी खरी अच्छी बुरी
हाँ मगर कुछ बात मत कर दोस्ती के नाम पर

दोस्ती एहसास है एहसास रहनी दे उसे
बहस यूँ दिन रात मत कर दोस्ती के नाम पर

kathin hai zindagi kitni....

Kathin Hai Zindagi Kitni....

Kathin hai Zindagi kitni
Safar dushwar kitna hai,
Kabhi paw nahi chalte
Kabhi rasta nahi milta,
Humara sath de paye
koi aisa nahi milta.
Waqt aise guzaru to
ye roz w shab nahi kat te,
Mujhe phir bhi mere malik
Koi shikwa nahi tujhse,
Main Jaan pe khel sakti hu
Main har dukh jhel sakti hu,
Agr tu aaj hi karde
Mohobbat humsafar meri
Mohabbat humsafar meri


Ek kahani

Ek kahani

Hum ko kis k ghum ne mara
Ye kahani phir sahi...
Kis ne todha dil humara
Ye kahani phir sahi...

Nafrato k teer kha kar
Dosto k sheher me
Hum ne Kis Kis ko pukara
Ye kahani phir sahi...

Dil k Tootney ka Sabab
poocho na sab k samne
Naam ayega Tumhara
ye kahani phir sahi....!!!!

Ye Fasana Ghulam Ali Sahab Ka Hai...

Tera Pyar Hum Nahi................

Tera Pyar Hum Nahi.

Maana teri nazar me tera pyaar hum nahi,
Kese kahe ki tere talabdaar hum nahi,

khud ko jala ke khak kar daala,mita diya,
Lo AB tumhari raah mein diwar hum nahi.

Ji ko sawara humne tamannao ke khun se,
Gulshan mein uss bahar ke haqdar hum nahi,

Dhoka diya hai khud ko mahobbat ke naam se
Kese kahe ki gunehgar hum nahi.

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»


waqt thoda hai paas mere, par bahut kuch abhi karna baki hai;
wo zakhm jo apno ne diya, usse abhi bharna baaki hai;
tere pyar ki adat c padh gayi hai mujhe, kuch der tera saath mere chalna baaki hai;
samshaan chod kar kuch pal k liye ruk jaana,
warna rooh kahegi k
ruk ja abhi tere pyaar ka jalna baaki hai.....!!

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»


Tum Rooth Jao Mujhse
Aisa Kabhi Na Karna
Main Ek Nazar Ko Tarsoon
Aisa Kabhi Na Karna

Main Pooch Pooch Haroon
So So Sawal Kar Ke
Tum Kuch Jawab Na Do
Aisa Kabhi Na Karna

Mujhse Hi Mil Ke Hansna
Mujhse Hi Mil Ke Rona
Mujhse Bichhad Ke Jee Lo
Aisa Kabhi Na Karna

Tum Chand Ban Ke Rehna
Main Dekhti Rahungi
Kisi Roz Tum Na Niklo
Aisa Kabhi Na Karna

Tum Chale Jao Jab Bhi
Toh dekhu Tumhara Rasta
Tum Lout Ke Na Aao
Aisa Kabhi Na Karna

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Jo adhoori reh gayi thi kahani sochna

Beth ker tanha faqat baatein purani sochna

Jab kisi sahil pe aajaye meri yaad tumhain

Kyun jazeeron ki taraf rehta hai paani sochna

Tum agar bicharne per Khush ho to yun hi sahi

Beth ker tanha faqat shaamein purani sochna

Jab kabhi likhna kahani zeest ke mauzu pe tum

Kyun badal jaate hain lafzon ke maa'yne sochna

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Unki Mohabbat Ka Abhi Nishan Baaki Ha.............

Unki Mohabbat Ka Abhi Nishan Baaki Hai

Unki Mohabbat Ka Abhi Nishan Baaki Hai,
Naam Hothon Pe Jaan Baki hain,
Kya Huwa Agar Dekh Ke Nazar Pher Lete hain,
Tassali Hain Ki Abhi Shakal Ki Pahechan Baki hai


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

PAAS AAKAR SABHI DOOR CHALE JAATE HAI

HUM AKELE THE AKELE HI REH JAATE HAI

DIL KA DARD KISE DIKHAAYE

MARHAM LAGAANE WAALE HI ZAKHM DE JAATE HAI.


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Tarafdaar_-_-_


Tarafdaar_-_-_-_-_-_-!!!!!!

Ye jo deewaney se do char nazar aate hain
In main kuch saahib-e-israar nazar aate hain

kal jinhe cho nahi sakti thi farishto ki nazar
Aaj wo raunaq-e-bazar nazar aatey hain.

Mere daaman main to kaanto ke siwa kuch bhi nahi
Aap pholo ki kharidar nazar aate hain.

Hashar main kon gawahi meri dega sagar
Sub tumhare hi tarafdaar nazar aate hain.

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Ishq mujhko naheeN, wehshat hi sahi
meri wehshat, teri shohrat hi sahi

[ wehshat = solitude, shohrat = fame ]

qata`a keeje na ta`alluq ham se
kucch naheeN hai to `adaavat hi sahi

[ qata'a = break/intercept, ta'alluq = relation/connection,
'adaavat = hatred/animosity ]

mere hone meiN hai kya ruswaaee ?
'ei woh majlis naheeN KHalwat hi sahi

[ majlis = assembly, KHalwat = isolation ]

ham bhee dushman to naheeN haiN apne
GHair ko tujh se mohabbat hi sahi

apnee hastee hi se ho, jo kuchch ho !
aagahi gar naheeN GHaflat hi sahi

[ hastee = existence, aagahee = knowledge/information,
GHaflat = negligence ]

'umr harchand ke hai barq-e-KHiraam
dil ke KHooN karne ki fursat hee sahee

[ barq = lightning, KHiraam = manner of walking ]

ham koi tarq-e-wafa karte haiN
na sahee ishq, museebat hee sahee

[ tarq = relinquishment ]

kuchch to de 'ei falak-e-na_insaaf
aah-o-fariyaad ki ruKHasat hee sahee

[ falak = sky ]

ham bhi tasleem kee KHoo Daalenge
be_niyaazee teree `aadat hi sahi

[ tasleem = greeting/saluting, KHoo = habit,
be_niyaazee = independence ]

yaar se cheDa chalee jaay, 'Asad'
gar nahee wasl to hasrat hee sahee

[ wasl = meeting, hasrat = desire ]


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Milan Ka Intezaar...

Milan Ka Intezaar...

Ye Chaandni Raat, Ye Sitaron Ki Baaraat, Ye Aankhein Nam,
Gumsum Hai Ye Paagal Chaand Aur Kuch Khoye Hue Se Hum,

Ye Waadiyaan De Rahi Hai Sadayein Har Pal Tumhe,
In Jharno Ki Pyaas Bujhane Aa Jao Ab To Sanam,

Is Madhosh Aalam Mein Intezaar Hai Bas Tumhare Aane Ka,
Waada Kiya Tha Aane Ka Kab Hoga Hamara Intezaar Khatam,

Tere Intezaar Mein Ek Pal Jaise Sadiyaan Beeti,
Lagta Hai Chaand Bhi Khafa, Chaandni Bhi Hai Nam,

Raah Takne To Baithe Hai Tumhari Par Sochte Hai,
Jab Tum Saamne Hoga Tab Kitna Haseen Ho Jayega Ye Aalam,

Sharmayenge Kuch Itrayenge Kuch Chaand Ko Bhi Dikhayenge,
Bade Garoor Se Kahenge Usse "Tujhse Haseen Hai Mera Sanam",

Sunke Jab Ye Chaand Chhup Jayega Badalon Ki Ott Mein,
Chupke Se Simat Jayenge Tumhari Baahon Mein Hum,

Ab Aa Bhi Jao, Bahut Tadap Rahe Hai Tere Intezaar Mein,
Kyon Itna Sata Rahe Ho Hamein, Kya Naraz Ho Humse Jaanam?

In Chudiyon Ki Khanak Mein Basi Hai Aahat Tumhari,
Sunke Inki Khanak Kaise Rahoge Door Humse Tum?

Mere Gesu Mein Basi Hai Mehek Tumhare Pyaar Ki,
In Uljhi Laton Mein Khoke Ho Jaoge Madhosh Tum,

Aanchal Se Hum Apne Is Tarah Baandh Lenge Tumhe,
Saansein Chhu Lengi Jab Hamari Tumhe Bhul Jaoge Sare Shikwe Tum,

Contd...

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Kaun Hai Ye Jisne Mere Gaalon Ko Bachhe Ki Tarah Chhua,
Pichhe Mudke Jo Dekha To Tha Wo Mera Pyaara Sanam,

Dekha Uski Aankhon Mein Laga Wo Mujhe Kuch Khafa Sa,
Meri Nigahone Kaha Kab Tak Rahoge Yun Naraz Sanam,

Jaake Baith Gaya Wo Door Jaise Koi Masoom Bachha Rutha Hua,
Banane Laga Tinke Se Ghar Ki Tasveer Jahan Mitti Thi Nam,

Gayi Main Uske Paas Baithi Uske Haath Se Tinka Liya,
Us Gharke Darwaze Par Likh Diya Bas Uska Aur Mera Naam,

Do Naamo Ko Ek Dekhke Bhar Liya Usne Hamein Baahon Mein,
Main Muskurayi, Kaha Tha Na Nahi Reh Sakoge Humse Khafa Tum,

Ye Raat Bhi Sharmayi Hamein Dekhke, Ho Gaya Chaand Bhi Ojhal,
Chhedne Lage Saare Dilkash Nazare Mithi Si Koi Sargam,

Aao Aaj In Nazaron Mein, In Waadiyon Mein, Is Chaandni Raat Mein,
Kasam Kha Le Ek Dusre Ki, Honge Na Kabhi Juda Ek Dusre Se Hum,

Juda Na Ho Kabhi Ye Jude Hue Haath Yehi Dua Hai Rab Se,
Saath Tere Rehne Ko Maang Lenge Khuda Se Hum Hazaaron Janam...



»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Arey baap re kya likhi hai app ne yea ....... do u know ?
kitna accha likha hai .......
maza aa gaya ...
sach me bilkul jaisa me chahata tha vaisa he likha hai app ne .....
u r great ......
Sharmayenge Kuch Itrayenge Kuch Chaand Ko Bhi Dikhayenge,
Bade Garoor Se Kahenge Usse "Tujhse Haseen Hai Mera Sanam",
Sunke Jab Ye Chaand Chhup Jayega Badalon Ki Ott Mein,
Chupke Se Simat Jayenge Tumhari Baahon Mein Hum,
and these lines are fabelous ....
kaha se le ke aye app yea aur end me jo situation app ne creat ke hai ...
vo to kya khey usney to hosh ke uda diyea mere ....
sach me tinka le ke haat me aur lik diya dona ka naam sath me ... great........
yea app ko aisey ideas aatey kaha se hai .........



»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

angel kia gr8 poetry hai mare taref se eik hug apko
Or han phale wali to 2 good yaar GOD BLESS u or aise he poetry karti raho


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

AB INAYAT ME KYA MAANGU KHUDA SE TERE LIYE,
MAIN KHUD HE SAJDE ME SEHAM JAATA HU.
GAR KABHI RAHAM AAYA USH KHUDA KO MUJH PE,
TOH ANGEL USSEY APKA AASHIYANA DIKHATA HU...



»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Woh Dard Hi Kya, Koi dekhe to humari bebasi

Woh Dard Hi Kya

woh dard hi kya jo aankho se beh jaye,
woh khushi hi kya jo hoto pe rah jaye
kabhi to samjho meri khamoshi ko
woh baat hikya jo alfaz asani se keh jaye

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Koi dekhe to humari bebasi

Samajhte hai wo ki pathar hai hum,
unko thokar maar jayege,
bewafa ek baar kah de nafrat hai humse,
khuda kasam pathar to kya phul bankar bhi rahon me nahi aayege.


Dard me koi mousam pyara nahi hota,
Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota.

Koi dekhe to humari bebasi,

Hum sabhi k ho jate hain
Par koi humara nahi hota.


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»



Roshni Best Collections..................

Roshni

Roshni kab kam hui pata na chala,
Khusi kab gum hui pata na chala,
Aapki yaadon main khoye kuch is tarah,
Aankhein kab nam hui kuch pata na chala.....with luv Pratibha Sharma

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»


Na rahi aaj wo apni kahani, Na wo hasin din na wo raatein suhani, Phir
bhi hume aziz hai unki har nishaani, Chahe dil ka wo dard ho ya aankho ka paani...


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Kisike dil me basna bura to nahi,kisiko dil me basana khata to
nahi,gunah hai ye zamane ki nazar me to kya hua,zamaane wale bhi insaan
hain khuda to nahi.

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Vaqt k kuch lamho ki gujaarish hai
Mushkilo k saath chalne ki hame khwaish hai
Zindagi ham kuchh is tarah se jite hai k,
Har pal hoslon ki aajmaayish hai,
Chalkar girna, gir kar sambhalana,
Na phir girne ki koi gunjaayish hai.

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

A special world for you and me
A special bond one cannot see
It wraps us up in its cocoon
And holds us fiercely in its womb.

Its fingers spread like fine spun gold
Gently nestling us to the fold
Like silken thread it holds us fast
Bonds like this are meant to last.

And though at times a thread may break
A new one forms in its wake
To bind us closer and keep us strong
In a special world, where we belong.


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Bahut.dard.hain.seene.mein
K.aaj.batane.ko.jee.chahta.hai
Kaise.kahun.us.shaqs.ko
K.aaj.nazrein.milaane.ko.jee.chahta.hai
Kaandhe.pe.rakh.ke.sar.kisi.K
Aaj.ro.jaane.ko.jee.chahta.hai
Narazgiyon.ke.nishano.ko
Ashkhon.se.mitaane.ko.jee.chahta.hai
Bahut.dard.hain.seene.mein
K.aaj.batane.ko.jee.chahta.hai



»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

f I could have just one wish,
I would wish to wake up everyday
to the sound of your breath on my neck,
the warmth of your lips on my cheek,
the touch of your fingers on my skin,
and the feel of your heart beating with mine...
Knowing that I could never find that feeling
with anyone other than you.

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Sisakte hain kabhi seham se jaate hain
Khamosh khud hi mein simat se jaate hain
Darre hue se shwaas tadpa sa jaate hain
Bekhyaal kisi yaad mein jab
kabhie tumhein mehsoos karr jaate hain

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Banjar se is tann pe yaado ki chadar lipte
Mayoos palko se aansu beh jaate hain
Saawan mein baras jaane k baad
jaise baadal zameen par bikhar jaate hain
Yeh jisam o jaan yoon tanhayi mein kachoot jaate hain
Bekhyaal kisi yaad mein jab
kabhie tumhein mehsoos karr jaate hain


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Bin tere khud ko bada tanha paate hain
Muskurate labbo k kissey reh jaate hain
Pehle the tum ab dard aate hai
jab kabhie apne hi saaye se rooth jaate hain
Bekhyaal kisi yaad mein jab
kabhie tumhein mehsoos karr jaate hain

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Hazaaro swaalo mein ghir jaate hain
Tanha tanhayio se bharr jaate hain
Akele se khud pe hi
Jahan bhar ki duhayiaan barsaate hain
Bekhyaal kisi yaad mein jab
kabhie tumhein mehsoos karr jaate hain

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Aap se kabhi mil na paaye hum

Aap se kabhi mil na paaye hum

Aap se kabhi mil na paaye hum
phir bichadne ka darr kaisa
meri har dhadkan me aap ho shamil
phir aapki judaai ka gham kaisa

deedaar-e-yaar ki khatir jee rahe hain hum
unki talaash hai ab har taraf
umr-e-tamaam kisike naam kar diya humne
ab maut se bhi hume ghabdraana kaisa

aapki yaad yun zindagi ko mehka de
bahaar bankar fiza me rang bhar de
sanwaara hai mujhe aapne is kadar
ki patjhad se bhi ab nazren churaana kaisa

sitaron ki mehfil saji thi har taraf
phir bhi roshni ko taras gaye the hum
mahtaab jo ban gaye aap zindagi ke
ab andheron ka humse naata kaisa

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Dua,Yeh safar bahat Kathin Hai...., Barsaat........

Dua
Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye,,
aag aise lagaye ke paani se bhi na bhuj paaye,,
Aaj bhi rote hain unhe yaad karke…
JISSE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE…….. ……..
Duao ki bheed mein ek dua hamari
jis mein maangi hai humne har khushi tumhar
ijab bhi aap muskuraaye dil se
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
barsaat........
Hum aankhon ki har baat samajh lete hain,
bina zubaan khole har jazbaat samajh lete hain,
aasman rota hai zameen ki judai mein,
pagal log use barsaat samajh lete hain..........
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
yeh safar bahat Kathin Hai....
dil naa ummiid to nahin, naa-kaam hi to hai
lambi hai gham ki shaam, magar shaam hi to hai ...
ye sitam ki raat hai dhalne ko
hai andhera gham kaa pighalne ko
zaraa der is mein lage agar, na udaas ho
nahin rahnevaali ye mushkilen
ye hain agle modh pe manzilen
meri baat ka tu yakin kar, na udaas ho
kabhi dhundh legaa ye kaaravaan
vo nai zameen naya aasmaan
jise dhuundhati hai teri nazar, na udaas ho mere humsafar
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Tanhaiyo
Muddat ho gayi un tanhaiyo ko guzre
Par ab bhi in ankho me woh khamoshi kyu hai
Tod diya mera yakeen mohabat par jisne
Woh saksh ab bhi pyaar ke kabil jyu hai
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
Kaash aisa ho ki tumko tumse chura loon

Kaash aisa ho ki tumko tumse chura loon,
waqt ko rok kar waqt se ek din chura loon,
tum paas ho to is raat se ek raat chura loon,
tum saath ho to is jahan se ye jahan chura loon.
chakh liya zaayeka-e-shayari jab se,
lafzon me tarannum si aa gayi hai,
arz-e-zubaan-e-ishq machal hi jati hai
jab bhi tere chehre ki tabssuum yaad aati hai....!!! [in my imagination]
meri dua hai tu sabse nek seerat ho,
teri tarah tera dil bhi khoobsoorat ho,
dua se pahle mile tujhko jo tu chahe,
ke khud dua ko teri haathon ki zaroorat ho!!
roz hota hai tarruf mera teri yAdoN se,
chhalakta hai noor tera meri AnkhoN se,
tadap raha hoon maiN aur ab ye Alam hai,
aur intezaar nahi hota ab meri sasoN se!!
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

tera intezaar aaj bhi hai.....

Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai
Kahan ho tum, ke ye dil beqaraar aaj bhi hai
Wo waadiyaan wo fizaaen, ke hum mile thay jahaan
Meri wafa ka wohi par-mazaar aaj bhi hai
Na jaane dekh ke kyun unko ye huwa ehsaas
Ke mere dil pe unhe iqtiyaar aaj bhi hai
Wo pyar jiske liye humne chor di duniya
Wafa ki raah mein ghayal wo pyar aaj bhi hai
Yakeen nahi hai magar aaj bhi ye lagta hai
Meri talaash mein shayad bahaar aaj bhi hai
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Sunday, January 6, 2008


dosto ki dosti ka kia bharosa ay faraz

kabar main rakh kar chale jate hain tanha chor kar


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»


Mugroor hume kehti hain to kehti rahi duniya

Hum mur ke kisi shakhs ko dekha nahi karte


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»


be shak meray naseeb per apna rakh ikhtiyar

lekin meray naseeb main kiya hay bata to day


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»


Gum bhi tho ek nasha hai "khush" hum nashse me chur hai,

na kissi ke pass hai na kissi se dhur hai.............


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»


be shak meray naseeb per apna rakh ikhtiyar

lekin meray naseeb main kiya hay bata to day


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»


Umar daraz mang kar laye thay chaar din

Do arzoo main kut gaye do intazaar main


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»


Is shart pe khelo gi piya pyar ki baazi

Jeeto to tumhe paao haro to main tumhari


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»


Is Main Shamil hai mere Bakht Kii tareekii Bhee

Tum Sehaa Rung pehno ge toh yaad aaongii


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

aisa gum hon teri yaadon ky bayaban main
dil na dharky to sunai nahi deta kuch bhi
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
Iss liye koi ziyada rukta nahi yahan
Log kehtay hain meray dil pe tera saya ha
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
Aey Taair-e-Laa hoti us rizzk say maut achi
jis rizzk se atti ho parwaaz main kootahi
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
Yaad-e-maazi azaab hai ya rab
cheen le mujhse haafiza mera ...!!
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
ab mere rone waalon, Khudara jawaab do,
wo baar baar puchhate hai, kaun mar gaya
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
aankhoon mai oorh rahi hai luti mehfiloon ki dhoo
librat saraye dehar hai aur ham hain dostoo
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
Os Ney Bhi Ab Key Hum Say Na Koi Gilaa Kiya
Hum Ney Bhi Choup Key Pardey Main Sub Kuch Chupa Diya
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Bewafa

Bewafa
Meri wafa ke qabil nahin ho tum
Pyar mile aise insaan nahin ho tum
Dil kyon tum par aitabaar kare
Pyar main dhoka de aise bewafa ho tum...

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Youn to koi tanha nahi hota,
Chaah kar bhi koi juda nahi hota,
Mohabbat ko to majbooriyan hi le doobti hai,
Warna khushi se koi bewafa nahi hota!!

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

yaad karoge tum ek din dosti ke zamane ko,,,
clale jayange jab hum kabhi na wapis aane ko,,
jab bhi chedega mehfil me zikr humara koi,,
to chale jaaoge tum bhi akele me aansu bahane ko...............!!!!!!!!

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

2 dilo ki dastan tumhe kaha manjur thi,
meri vafa or kasme tumhare liye kya fizul thi,
koi aas nahi baki zindgi ki muje itna batado
kya maine tumhe chaha yeh meri bhul thi??????????????

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Vada karte hain, kasam khate hain,
fir bi na jaane kyun log sath chhod jate hain,
Hum to darte hai ek phool todne se bhi,
na jaane log dil kaise tod jate hain.
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

hum yeh nahi kehte dil ke bure ho tum
par dil ko dukhate rehte ho tum
wafa ki to umeed nahi hai tum
separ phir bhi bewaafai karte rehte ho tum

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Koi gila, koi shikwa na rahe aapse,Kisi ko mohabbat ki sachchai maar dalegi........

Koi gila, koi shikwa na rahe aapse,
Koi gila, koi shikwa na rahe aapse,
Yeh aarzoo hai ki silsila rahe aapse,
Bas is baat ki badi umeed hai aapse,
Khafa na hona agar hum khafa rehein aapse.
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
Kisi ko mohabbat ki sachchai maar dalegi,
Kisi ko mohabbat ki sachchai maar dalegi,
Kisi ko mohabbat ki gaherai maar dalegi,
Karke mohabbat koi nahi bachega,
Jo bach gayaa use tanhaai maar dalegi...
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
Zindagi mein naye log hardum milenge,
Kaheen jyada to kaheen kam milenge,
Aitbaar zara soch kar karna,
Mumkin nahin har jagah tumhein ‘HUM’ milenge
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
Phir chupke se yaad aa gaya koi,
Meri aakhon ko phir rulaa gaya koi,
Kaise uska shukria aada Karen,
Mujh naachiz ko “shayar“ bana gaya koi.
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
Tum hoti to aisa hota,
tum hoti to waisa hota
Tum is baat pe itna hasti,
tum uss baat pe itna khush hoti,
Tum is baat pe ye kehti,
tum uss baat pe wo kahat
ishukar hai tum nahi ho!!!
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
Tere pyaar ki roshni aisi hai ki
har taraf ujaala nazar aata hai
sochta hu ki ghar ki bijli katwa du
kambaqt bill bohat aata hai
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
Unhe ye shikayat hai humse ki
Hum har kisi ko dekh kar muskurate hai
Nasamajh hai wo kya jaane
Hamein to har chehre mein wahi nazar ate hai
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

Ek sawaal

Ek sawaal
jazbaato ko dekar shubdo ki surat
ye nazm meri kar raha hu tumhare naam
ek nazar zara dal lena mere aks(pic) par
E khwab ye jaam tumhare naam..............................
guzar raha tha kal raah se me
ek sakhs ne achaank rok diya
jaane aisi kya baat kahi usne
herat me mujhe dal diya
kaun tha aur kya keh gaya
shaayad mujhko mujhse milwa diya
the hazar matlab uski baat ke
zarra bhar to mujhe samjha diya
he raftaar zaruri zindagi me
agar raah se jo nazare hata diya
tukdo tukdo kar degi
ek thokar ne jo tumko gira diya
choda tha jise duniya ki beed me
usko bhi mujhse milwa diya
me to khwab sajoke baitha tha
haqikat se mera samanaa kara diya
pake jise pali duniya mene
par kyu ye sawal utha he
kya dhadkano me aaj bhi me hu
ya dil kisi aur ke naam kar diya
ik sawal ne mujhe heran kiya
ik sawal ne mujhe khwab se jaga diya
kya tanha hi behtar thi zindagi meri
jaane kis uljan me mujhe dal diya
wo sakhsh jo mila tha raah me
wo asks tha aaine me mera
paake anjaan ruswai se mujhko
haqikat se mujhe milwa diya
haqikat se mujhe milwa diya...

Saturday, January 5, 2008

Barsaat, Yeh safar bahat Kathin Hai, UMUJHE AISA BANA DIYA, HER BIOGRAPHY AND SHE LOVED IT

Barsaat........
Hum aankhon ki har baat samajh lete hain,
bina zubaan khole har jazbaat samajh lete hain,
aasman rota hai zameen ki judai mein,
pagal log use barsaat samajh lete hain..........
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
Yeh safar bahat Kathin Hai....
dil naa ummiid to nahin,
naa-kaam hi to hailambi hai gham ki shaam,
magar shaam hi to hai ...
ye sitam ki raat hai dhalne ko
hai andhera gham kaa pighalne ko
zaraa der is mein lage agar,
na udaas ho nahin rahnevaali ye mushkilenye hain
agle modh pe manzilenmeri baat ka tu yakin kar,
na udaas ho kabhi dhundh legaa ye kaaravaanvo nai
zameen naya aasmaanjise dhuundhati hai teri nazar,
na udaas ho mere humsafar
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
UMUJHE AISA BANA DIYA
Hum to SHAYAR na they kabhi.....
SHAYARI to unki YAADON ne sikha di hume !!
Hum to ASHIQ na they kabhi.....
ASHIQUI to unki BAATON ne sikha di hume !!
Hum to DEEWANE na they kabhi...
DEEWANGI to unke PYAR ne sikha di hume !!
Hum to ROTE na they kabhi....
RONA to unki TANHAIYO ne sikha diya hume !!
SHABDO KO PYAR BHARE ALFAZO mein bolne wale to hum na they....
IS TARAH bolna unki MOHABBAT ne sikha diya hume !!
APNE PYAR KA ISHAAR karne wale to hum na they....
lekin unke IKRAAR ne ISHAAR karna bhi sikha diya hume !!

»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
HER BIOGRAPHY AND SHE LOVED IT
Mujhse kehti thi wo...
Kay ISHQ nahi hota kisi say !!!
MOHABBAT nahi hoti kisi say !!!
Pyar to do pal ka BRAHM hota hai,
Koi kisi pe umr bhar MARTA nahi....
Shuruwat mei badi-badi kasme khate hai ye log,
Lekin unhe Nibhate nahi hai ye log,
Pyar mei DHOKE de jaate hai pyar karne wale....
Bewafaai karke kisi aur ka haath tham lete hai ye log.
Mujhse bhi kehti thi wo....
Kay ISHQ nahi hota kisi say !!!
MOHABBAT nahi hoti kisi say !!!
Magar maine bhi kaha kayMujhe ISHQ hai,
Sirf aur Sirf TUJHI say.....
Mujhse kehti thi wo ki mai use CHOD doon,
Uske bina rehne ki aadat apneaap mein daal loon,
Mujhse kehti thi wo,
Kay mere bina REH legi wo,
Mujhse bina mile JEE legi wo,
Chahti thi mujhe fir bhi aisa kehti thi wo,
Na jaane kis baat se darti thi wo......
Dur hona chaha jab maine usse,
Tau mujhi se LIPAT gayi wo,
Mera bina rehne say MUKAR gayi wo.....
Fir bhi mujhe kehti hai wo,
kay ISHQ nahi hota kisi say !!!!!!
MOHABBAT nahi hoti kisi say !!!!!!
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

who is a Shayar ?

You know people sometimes ask that who is a Shayar ?
Here I have tried to give them answer.
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
Jo kabhi tumhara dil pooche ki,
Aakhir ye shayar kaun hota hai.
Toh hume poochna hum bataenge,
Ki kyun ye kalam ka dil rota hai.
ANSWER
Shayar voh nahi jo kalam utha liya karte hai,
Shayar voh bhi nahi jo tareefo pe jiya karte hai.
Shayar toh voh sakhas hote hai,
Jo dard ko bhi tadpa diya karte Sai.
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
Ye shayari likhna unka kaam nahi,
Jinke dil aankhon me basa karte hai.
Shayari toh voh sakhas likhte hai,
Jo sharab se nahi,
kalam se nasha karte hai.
---;--<@---;--<@---;--<@---;--<@---;--<@---;--<@---;--<@
HATS OFF FOR ALL THE SHAYARS