THOUSANDS OF FREE BLOGGER TEMPLATES »
 

Friday, February 1, 2008

kya chaha khuda or kya paaaya hai

na khushi ki dua thi na maut se dillagi thi
bas dil me zindgi jeene ki ek aas si lagi thi
par lagta hai is zindgi me bas andheron ka hi saya hai
kya chaha tha khuda maine tujhse aur aaj kya paya hai

khud se zyada zindgi me khuda par vishwaas kiya tha
par us khuda ne hi mujhe har wakt ruswa kiya tha
ajnabi si lagne lagi meri vo duniya saari
kya khata thi meri ye khuda se main poochh poochh kar haari
par aaj tak us khuda ki taraf se koi jawab na aya hai
kya chaha tha khuda maine tujhse aur aaj kya paya hai

ab kya shikayat karun tujhse tune to kabhi meri suni hi nahi
mere liye khushiyon ki chaadar to kabhi tune buni hi nahi
jis dil se pooja ki thi teri aaj us dil me tere liye nafrat bhar gayi
har aas har ummeed jo tujhse thi aaj vo sab dil me hi mar gayi
jin ankhon me ummeed thi unme aansu aaj tu hi laya hai
kya chaha tha khuda maine tujhse aur aaj kya paya hai

meri chahat meri zindgi sabki palti aaj tune kaaya hai
kya chaha tha khuda maine tujhse aur aaj kya paya hai


»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»


Mukaddar se lad sakun ye meri auqaat nahi,
main wo shakhs hoon khuda jiske saath nahi,
Waqt aayega to kah dunga khuda se
mera mukaddar likhna tere bas ki baat nahi

0 comments: