THOUSANDS OF FREE BLOGGER TEMPLATES »
 

Tuesday, April 8, 2008

I Miss You........

Duniya se kuch darta tha wo
Sehma sehma rehta tha wo

Janay kya baat thi us mein
Itna hasin kyon lagta tha wo

Ik bhool hui mujh se magar
Wafa he wafa karta tha wo

Kehte kehte ruk jata tha
Aksar aisa karta tha wo

Jo bhi kahna hai wo keh do
Mujh se yahi bus kehta tha wo

Sagar tere ghazal ye padh ker
Aksar roya karta tha wo

0 comments: