Tera Pyar Hum Nahi.
Maana teri nazar me tera pyaar hum nahi,
Kese kahe ki tere talabdaar hum nahi,
khud ko jala ke khak kar daala,mita diya,
Lo AB tumhari raah mein diwar hum nahi.
Ji ko sawara humne tamannao ke khun se,
Gulshan mein uss bahar ke haqdar hum nahi,
Dhoka diya hai khud ko mahobbat ke naam se
Kese kahe ki gunehgar hum nahi.
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
waqt thoda hai paas mere, par bahut kuch abhi karna baki hai;
wo zakhm jo apno ne diya, usse abhi bharna baaki hai;
tere pyar ki adat c padh gayi hai mujhe, kuch der tera saath mere chalna baaki hai;
samshaan chod kar kuch pal k liye ruk jaana,
warna rooh kahegi k
ruk ja abhi tere pyaar ka jalna baaki hai.....!!

Tum Rooth Jao Mujhse
Aisa Kabhi Na Karna
Main Ek Nazar Ko Tarsoon
Aisa Kabhi Na Karna
Main Pooch Pooch Haroon
So So Sawal Kar Ke
Tum Kuch Jawab Na Do
Aisa Kabhi Na Karna
Mujhse Hi Mil Ke Hansna
Mujhse Hi Mil Ke Rona
Mujhse Bichhad Ke Jee Lo
Aisa Kabhi Na Karna
Tum Chand Ban Ke Rehna
Main Dekhti Rahungi
Kisi Roz Tum Na Niklo
Aisa Kabhi Na Karna
Tum Chale Jao Jab Bhi
Toh dekhu Tumhara Rasta
Tum Lout Ke Na Aao

Jo adhoori reh gayi thi kahani sochna
Beth ker tanha faqat baatein purani sochna
Jab kisi sahil pe aajaye meri yaad tumhain
Kyun jazeeron ki taraf rehta hai paani sochna
Tum agar bicharne per Khush ho to yun hi sahi
Beth ker tanha faqat shaamein purani sochna
Jab kabhi likhna kahani zeest ke mauzu pe tum
Kyun badal jaate hain lafzon ke maa'yne sochna

0 comments:
Post a Comment