THOUSANDS OF FREE BLOGGER TEMPLATES »
 

Monday, January 7, 2008

Dua,Yeh safar bahat Kathin Hai...., Barsaat........

Dua
Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye,,
aag aise lagaye ke paani se bhi na bhuj paaye,,
Aaj bhi rote hain unhe yaad karke…
JISSE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE…….. ……..
Duao ki bheed mein ek dua hamari
jis mein maangi hai humne har khushi tumhar
ijab bhi aap muskuraaye dil se
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
barsaat........
Hum aankhon ki har baat samajh lete hain,
bina zubaan khole har jazbaat samajh lete hain,
aasman rota hai zameen ki judai mein,
pagal log use barsaat samajh lete hain..........
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»
yeh safar bahat Kathin Hai....
dil naa ummiid to nahin, naa-kaam hi to hai
lambi hai gham ki shaam, magar shaam hi to hai ...
ye sitam ki raat hai dhalne ko
hai andhera gham kaa pighalne ko
zaraa der is mein lage agar, na udaas ho
nahin rahnevaali ye mushkilen
ye hain agle modh pe manzilen
meri baat ka tu yakin kar, na udaas ho
kabhi dhundh legaa ye kaaravaan
vo nai zameen naya aasmaan
jise dhuundhati hai teri nazar, na udaas ho mere humsafar
»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»»

0 comments: